Nokia ke iss model ko feb mai MWC 2019 mai launch kiya gya tha , iss phone mai LED light wala notification button hoga
Dosto Nokia brand ko koun nahi janta hai , Nokia ke pehle phone kitne safal the , lekin baad mai Nokia brand market se gayab sa ho gya tha,
lekin fir NOKIA ne apne mobile launch kiye the , windows phone ke sath , market mai kadm rakha tha , lekin wo buri treh se fail raha , or users ne windows phone ko pasand nahi kiya jabki android ko apnaya , jisse Nokia ko bahut jyada loss hua,
fir Nokia ne Fir bhi haar nahi maani apni pehchal ke uper usne dobara market mai apna android mobiles kayi launch kiye hai , jo kuch ke response mille hai,
lekin aisa lagta hai Nokia ab bhi Wo mukaam hasil nahi ker pa raha hai,
ab baat kerte hai nokia 4.2 ki jo 7 may ko aaney wala hai,
HMD global ne ek twitter ke jariye btaya hai ki Nokia 4.2 mobile 7may ko launch kiya jayega ,
jo LED notifications power buttons ke sath hoga ,

Nokia company ne teaser ke jariye btaane ki koshish ki hai ko wo 7 may ko phone launch karenge lekin abhi ye sure nahi kiya gya hai ki 4.2 hoga 3.2 ,
Nokia 4.2 ke specs
Nokia ke phone android 9 mai chelega ,
iski screen 5.7 inch HD display ke sath hogi ,
ismein SD 439 processor hoga or 3 GB ram ke sath ayega ,
cameras ki baat kare to ismein 13 megapixals or 2 megapixal rear dual setup kiya jayega ,
selie ke liye ismein 8 megapixal diya gya hai,
iski battery 3,000mah di jayegi jo iski jaan hai ,
iski price ki baat kare to 2gb or 16gb ki 11,700 rakhi gayi hai , or wahi dusara variant jo 3gb or 32gb 13,800 rakhi gayi hai ,
Nokia 3.2 ki shuruati keemat 9600 rupaye rakhi gayi hai ,
ummid ye ki ja rahi hai ki india mai iska compare redmi 7pro,galaxy m30 , or realme3pro se kiya jayega.
Nokia 4.2 Launch hoga India mai jane price or sepecifications
Reviewed by Virender Gupta
on
Saturday, May 04, 2019
Rating:
No comments: