Create own website for free in blogger with free web hosting




website kya hai ? pehle hume ye pta hona chahiye ki hum kis ke bare mein baat kar rahe hai , hame puri jankari honi chahiye ,isliye kuch bhi karne se pehle uski jankari lete hai , dosto aaj hum new website bnani sikhenge lekin hum baat karne wale hai what is website ? website wo ek plateform hai jahan se hum apne business ko faila sakte hai ya wo plateform hai jisse humey kisi bhi prakar ki information milti hai ,kuch bhi jab hum GOOGLE par search kartey hai to wo jo information hamey milti hai wo website ke dwara hi milti hai .




Person Using Black and Gray Laptop Beside White Ceramic Cup and Saucer on White Table


Web Hosting kya hai ? kisi bhi website ko host kerne ke liye hmay ek hosting ki jarurat padti hai , website ko handle karna sabki baat nahi hai iss mein kitna sara data hota hai , bade bade servers ko use kiya jata hai ,sabhi data ko acces karne ke liye web hosting ki jarurat hoti hai , web hosting se hum kahi bhi baithe website ko acces kar sakte hai, web hosting ko hum web servers bhi kehte hai , website mein jo bhi data photos , articles , videos, or bhi etc ko store karta hai , ye hosting hum different website se purchase kar sakte hai like: GO DADDY , BLUEHOST ,HOSTGATOR, HOSTINGER etc, inko hum web host bhi kehte hai .


Interior of Office Building


How to make free website in blogger: aaj ke time hum baat karey ki website kaise bnate hai , mein kahunga bahut hi simple hai , agar kuch years pehle ki baat kare to thoda tuff tha kyun ki aaj bhi agar aap ko ek professional website bnane ke aapko coding aani chahiye or money bhi invest karna hota hai lakin aap blogger mein aap free mein website bna sakte ho to chaliye aagey badte hai..........



Blogger Text
blogger



Blogger : hum apni website blogger par hi bnayenge bilkul free mein . dosto ye blogger GOOGLE ka hi apna product hai ,


1.  aap apne mobile/desktop mein koi bhi browser open kare mein aapko chrome browser hi suggest karunga .

2. browser open kerne ke baad aap type kare www.blogger.com ya fir type kare www.blogspot.com 

3. fir aap apni google ki GMAIL id se blogger ko login kar le bahut hi asaan hai .



  Woman's Hand on Laptop


4. login karne ke baad aapko left side new blog ka option milega waha par aap click kare



how to make free blog

5. jis treh se ye photo mein dekhe aise window khulega , ab aap jo website bnana chahte hai uska naam likhe 


Title: Tech ki jankari Hindi Mein          ( yahan par apni website ka Title daale )



Address: yahan par aapko apni website ka unique name dena hoga jo pehle kabhi kisi ne ragister na kiya ho , nahi aapka website nahi bnega .

Template : ab aapki website ka design ata hai , jo pehle se hi theme diye honge isme koi bhi aap choose kar sakte hai jo aapko achi lage , theme ko baad mein aap custimize bhi kar skenge,



6. aapka blog ready hai ab aap isme create new blog karke aap post likh sakte hai hai .








Create own website for free in blogger with free web hosting Create own website for free in blogger with free web hosting Reviewed by Virender Gupta on Sunday, July 21, 2019 Rating: 5

No comments:

Powered by Blogger.